***********************************************
"Kash hum per Bhi haq jatati, humari ankhon ko apne hathon se chupati
Hum gabhra k poochte kon ho tum muskura k woh hume apni zindgi batati"
************************************************
"Ajeeb sa dil me ek ehsaas hai
Lagta hai milne wala tohfa kuchh khas hai
Na khel iss dil se iss kadar ae khuda
Aaj bas me nahi hamare jazbaat hain"
************************************************
"Kabhi lagta hai dur hai to kabhi lagta paas hai
Mausam me na jane kya baat hai
Dil jhoom uthta hai achanak aise
Jaise koi har waqt dil ke paas hai "
************************************************
"Khud ko akelepan ka tana dia na karo,
Yadoan ka gila shikwa bhi na dia karo,
Kya bataye tumko kitna yaad karte hai,
Hissab lagana hai to apni saanse gin liya karo".
************************************
Tere shaher ka mousam bada suhana laga,
Ek shaam chura lu agar bura na lage
Tere bass main hai to tu bhool ja mujhe
Tujhe bhulane me mujhe shayad zamana lage"
***********************************
"Kuch likh nahi pate, kuch suna nahi pate
Haal-e-dil zubaan pe laa nahi pate
Wo utar gaye hain dil ki gehraiyon mei
Wo samaz nahi pate, hum samza nahi pate"
"Ajnabi Rehna Par kisika Intzar Mat karna,
Kisi k Pyar k Liye khudko bekrar mat karna,
Accha Sathi Mil Jaye To Tham Lena Hath,
Par Dikhawe k Liye kisi Se Pyar Mat Karna"...........................
"Wo rishta kya jisko nibhana pade,
Wo pyar kya jisko jata na pade,
Pyar to ek khamosh ehsas hai,
Wo ehsaas kya jisko lafzo main batana pade!".

"Koi hai jo dua karta hai,............................
apno me hume bhi gina karta hai,.............
bahut khusnasib samajhta hoon khud ko,. K door reh kar b hame koi itna yad karta hai"
